Bhagvaan teree duniyaa men insaan naheen hain

भगवान तेरी दुनिया में इन्सान नहीं हैं
Year
Language

भगवान तेरी दुनिया में इन्सान नहीं हैं
मस्जिद भी है मन्दिर भी है ईमान नहीं हैं
भगवान तेरी दुनिया में …

आपस में यहाँ फूट है दिल सबके जुदा हैं
दौलत जिनको मिल जाए वही लोग ख़ुदा हैं
इतना भी नहीं सोचते हम कौन हैं क्‌या हैं
इन्सान को इन्सान की पहचान नहीं है
भगवान तेरी दुनिया में …

तू चाहे तो हर मौज को तूफ़ान बना दे
सच्चा है तो बिगड़े हुए ईमान बना दे
इन ख़ाक़ के पुतलों को फिर इन्सान बना दे
वरना मैं समझूँगी तू भगवान नहीं है
भगवान तेरी दुनिया में …

bhagvān terī duniyā meṅ insān nahīṅ haiṅ
masjid bhī hai mandir bhī hai īmān nahīṅ haiṅ
bhagvān terī duniyā meṅ …

āpas meṅ yahāṇ phūṭ hai dil sabke judā haiṅ
daulat jinko mil jāe vahī log khudā haiṅ
itnā bhī nahīṅ sochte ham kaun haiṅ k‌yā haiṅ
insān ko insān kī pahchān nahīṅ hai
bhagvān terī duniyā meṅ …

tū chāhe to har mauj ko tūfān banā de
sachchā hai to bigaṛe hue īmān banā de
in khāq ke putloṅ ko phir insān banā de
varnā maiṅ samjhūṇgī tū bhagvān nahīṅ hai
bhagvān terī duniyā meṅ …