भगवान तेरा इन्सान देख ले है कितना नादान्
भगवान तेरा इन्सान देख ले है कितना नादान
अरे इसे तो झूठ-साँच की ज़रा नहीं पहचान
देख ले है कितना नादान -2
मूरख मत झूठा भरमाना वरना फिर होगा पछताना
कण-कण में वो बसा हुआ है पाए ना पहचान रे
भगवान तेरा इन्सान …
राम नाम गाँधी ने गाया दुनिया का बापू कहलाया
जिसके घर दीइप जलाता पूजे सभी जहान रे
भगवान तेरा इन्सान …
तू पत्थर में प्राण जगा दे धरती और आकाश हिला दे
आँखें होते अन्धे क्यों हैं ये तेरे इन्सान रे
भगवान तेरा इन्सान …
bhagvān terā insān dekh le hai kitnā nādān
are ise to jhūṭh-sāṇch kī zarā nahīṅ pahchān
dekh le hai kitnā nādān -2
mūrakh mat jhūṭhā bharmānā varnā phir hogā pachhtānā
kaṇ-kaṇ meṅ vo basā huā hai pāe nā pahchān re
bhagvān terā insān …
rām nām gāṇdhī ne gāyā duniyā kā bāpū kahlāyā
jiske ghar dīip jalātā pūje sabhī jahān re
bhagvān terā insān …
tū patthar meṅ prāṇ jagā de dhartī aur ākāśh hilā de
āṇkheṅ hote andhe kyoṅ haiṅ ye tere insān re
bhagvān terā insān …