Bhaee battoor, bhaee battoor, ab jaaenge kitnee door

भई बत्तूर, भई बत्तूर, अब जाएंगे कितनी दूर्
Work
Year
Language

भई बत्तूर, भई बत्तूर, अब जाएंगे कितनी दूर
नाज़ुक नाज़ुक मेरी जवानी, चलने से मजबूर
भई बत्तूर …

डर लागे क्‌या होगा, पीछे कोई चोर लगा होगा
छोटी उमरिया सफ़र बड़ा मैं थक कर हो गई चूर
भई बत्तूर …

चाल चलूं इठलाके, बिन सोचे बलखाके
छाई जवानी ऐसे जैसे नदिया हो भरपूर
भई बत्तूर …

bhaī battūr, bhaī battūr, ab jāeṅge kitnī dūr
nāzuk nāzuk merī javānī, chalne se majbūr
bhaī battūr …

ḍar lāge k‌yā hogā, pīchhe koī chor lagā hogā
chhoṭī umriyā safar baṛā maiṅ thak kar ho gaī chūr
bhaī battūr …

chāl chalūṅ iṭhlāke, bin soche balkhāke
chhāī javānī aise jaise nadiyā ho bharpūr
bhaī battūr …