Bhaarat kee vidhvaa dukhiyaaree

भारत की विधवा दुखियारी
Work
Year
Language

भारत की विधवा दुखियारी भारत की विधवा
को: भारत की विधवा दुखियारी भारत की विधवा

बिन मालिक के खेती जाये -2
चोर कैसा नज़र लगाये -2
लागे आग भसम हो जाये -2
सूखे जीवन की फुलवारी
को: भारत की विधवा दुखियारी भारत की विधवा

सासू देवर जेठ धिक्‌कारे -2
हर की काई जाई पुकारे -2
मात पिता भी ठोकर मारे -2
विपद पड़ी दुखिया पे भारी
को: भारत की विधवा दुखियारी भारत की विधवा

( जागो-जागो होश में आवो
घर में लागी आग बुझावो ) -2
विधवाओं के कष्ट मिटावो -2
तुम्हें देखती दुनिया सारी
को: भारत की विधवा दुखियारी भारत की विधवा

bhārat kī vidhvā dukhiyārī bhārat kī vidhvā
ko: bhārat kī vidhvā dukhiyārī bhārat kī vidhvā

bin mālik ke khetī jāye -2
chor kaisā nazar lagāye -2
lāge āg bhasam ho jāye -2
sūkhe jīvan kī phulvārī
ko: bhārat kī vidhvā dukhiyārī bhārat kī vidhvā

sāsū devar jeṭh dhik‌kāre -2
har kī kāī jāī pukāre -2
māt pitā bhī ṭhokar māre -2
vipad paṛī dukhiyā pe bhārī
ko: bhārat kī vidhvā dukhiyārī bhārat kī vidhvā

( jāgo-jāgo hośh meṅ āvo
ghar meṅ lāgī āg bujhāvo ) -2
vidhvāoṅ ke kaṣhṭ miṭāvo -2
tumheṅ dekhtī duniyā sārī
ko: bhārat kī vidhvā dukhiyārī bhārat kī vidhvā