Bhaarat hamko jaan se pyaaraa hai

भारत हमको जान से प्यारा है
Work
Year
Language

भारत हमको जान से प्यारा है
सबसे न्यारा गुलिस्ताँ हमारा है
सदियों से भारत भूमी दुनिया की शान है
भारत माँ की रक्षा में जीवन कुर्बान है
भारत हमको जान से प्यारा है
सबसे न्यारा गुलिस्ताँ हमारा है

उजड़े नहीं अपना चमन
टूटे नहीं अपना वतन
गुमराह ना कर दे कोई
बर्बाद ना कर दे कोई
मंदिर यहाँ, मस्जिद यहाँ
हिंदू यहाँ, मुस्लिम यहाँ
मिलते रहे हम प्यार से … जागो

हिन्दुस्तानी नाम हमारा है
सबसे प्यारा देश हमारा है
जन्मभूमी है हमारी शान से कहेंगे हम
सब ही तो भाई भाई प्यार से रहेंगे हम
हिन्दुस्तानी नाम हमारा है
सबसे प्यारा देश हमारा है

आसाम से गुजरात तक
बंगाल से महाराष्ट्र तक
जाती कई धुन एक है, भाषा कई सूर एक है
कश्मीर से मद्रास तक
कह दो सभी हम एक है
आवाज़ दो हम एक है … जागो

bhārat hamko jān se pyārā hai
sabse nyārā gulistāṇ hamārā hai
sadiyoṅ se bhārat bhūmī duniyā kī śhān hai
bhārat māṇ kī rakṣhā meṅ jīvan kurbān hai
bhārat hamko jān se pyārā hai
sabse nyārā gulistāṇ hamārā hai

ujaṛe nahīṅ apnā chaman
ṭūṭe nahīṅ apnā vatan
gumrāh nā kar de koī
barbād nā kar de koī
maṅdir yahāṇ, masjid yahāṇ
hiṅdū yahāṇ, muslim yahāṇ
milte rahe ham pyār se … jāgo

hindustānī nām hamārā hai
sabse pyārā deśh hamārā hai
janmbhūmī hai hamārī śhān se kaheṅge ham
sab hī to bhāī bhāī pyār se raheṅge ham
hindustānī nām hamārā hai
sabse pyārā deśh hamārā hai

āsām se gujrāt tak
baṅgāl se mahārāṣhṭr tak
jātī kaī dhun ek hai, bhāṣhā kaī sūr ek hai
kaśhmīr se madrās tak
kah do sabhī ham ek hai
āvāz do ham ek hai … jāgo