Bhaarat hamko jaan se pyaaraa hai

भारत हमको जान से प्यारा है
Work
Year
Language

भारत हमको जान से प्यारा है
सबसे न्यारा गुलिस्तां हमारा है
सदियों से भारत भूमि दुनिया की शान है
भारत मां की रक्‌शा में जीवन क़ुर्बान है
भारत हमको जान से …

उजड़े नहीं अपना चमन, टूटे नहीं अपना वतन
दुनिया धर धरती कोरी, बरबाद ना करदे कोई
मन्दिर यहाँ, मस्जिद वहाँ, हिन्दू यहाँ मुस्लिम वहाँ
मिलते रहे हम प्यार से
जागो …

हिन्दुस्तानी नाम हमारा है, सबसे प्यारा देश हमारा है
जन्मभूमि है हमारी शान से कहेंगे हम
सभी तो भाई-भाई प्यार से रहेंगे हम
हिन्दुस्तानी नाम हमारा है

आसाम से गुजरात तक, बंगाल से महाराष्ट्र तक
झनकी सही गुन एक है, भाषा अलग सुर एक है
कश्मीर से मद्रास तक, कह दो सभी हम एक हैं
आवाज़ दो हम एक हैं

जागो …

bhārat hamko jān se pyārā hai
sabse nyārā gulistāṅ hamārā hai
sadiyoṅ se bhārat bhūmi duniyā kī śhān hai
bhārat māṅ kī rak‌śhā meṅ jīvan qurbān hai
bhārat hamko jān se …

ujaṛe nahīṅ apnā chaman, ṭūṭe nahīṅ apnā vatan
duniyā dhar dhartī korī, barbād nā karde koī
mandir yahāṇ, masjid vahāṇ, hindū yahāṇ muslim vahāṇ
milte rahe ham pyār se
jāgo …

hindustānī nām hamārā hai, sabse pyārā deśh hamārā hai
janmbhūmi hai hamārī śhān se kaheṅge ham
sabhī to bhāī-bhāī pyār se raheṅge ham
hindustānī nām hamārā hai

āsām se gujrāt tak, baṅgāl se mahārāṣhṭr tak
jhankī sahī gun ek hai, bhāṣhā alag sur ek hai
kaśhmīr se madrās tak, kah do sabhī ham ek haiṅ
āvāz do ham ek haiṅ

jāgo …