Beqraar dil, too gaaye jaa, khushiyon se bhare vo taraane

बेक़रार दिल, तू गाये जा, खुशियों से भरे वो तराने
Year
Language

बेक़रार दिल, तू गाये जा
खुशियों से भरे वो तराने
जिन्हें सुन के दुनिया झूम उठे
और झूम उठे दिल दीवाने
बेक़रार दिल …

राग हो कोई मिलन का, सुख से भरी सरगम का
युग-युग के बंधन का, साथ हो लाखों जनम का
ऐसे ही बहारें गाती रहें, और सजते रहे वीराने
जिन्हें सुन के …

रात यूँ ही थम जायेगी, रुत ये हंसीं मुसकाएगी
बंधी कली खिल जायेगी, और शबनम शरमायेगी
प्यार के वो कैसे नगमे, जो बन जायें अफ़साने
जिन्हें सुन के …

दर्द में डूबी धुन हो, सीने में इक सुलगन हो
सांसों में हलकी चुभन हो, सहमी हुई धड़कन हो
दोहराते रहें बस गीत ये आ, दुनिया से रहें बेगाने
जिन्हें सुन के …

beqrār dil, tū gāye jā
khuśhiyoṅ se bhare vo tarāne
jinheṅ sun ke duniyā jhūm uṭhe
aur jhūm uṭhe dil dīvāne
beqrār dil …

rāg ho koī milan kā, sukh se bharī sargam kā
yug-yug ke baṅdhan kā, sāth ho lākhoṅ janam kā
aise hī bahāreṅ gātī raheṅ, aur sajte rahe vīrāne
jinheṅ sun ke …

rāt yūṇ hī tham jāyegī, rut ye haṅsīṅ muskāegī
baṅdhī kalī khil jāyegī, aur śhabnam śharmāyegī
pyār ke vo kaise nagme, jo ban jāyeṅ afsāne
jinheṅ sun ke …

dard meṅ ḍūbī dhun ho, sīne meṅ ik sulgan ho
sāṅsoṅ meṅ halkī chubhan ho, sahmī huī dhaṛkan ho
dohrāte raheṅ bas gīt ye ā, duniyā se raheṅ begāne
jinheṅ sun ke …