Bekas kee tabaahee ke saamaan hazaaron hain

बेकस की तबाही के सामान हज़ारों हैं
Year
Language

बेकस की तबाही के सामान हज़ारों हैं
दीपक तो अकेला है, तूफ़ान हज़ारों हैं

लाचार किया हमको लाचार किया हमको (?)
दुख दर्द जलन आँसू, क्‌या क्‌या ना दिया हमको
भगवान तेरे हमपर एहसान हज़ारों हैं
दीपक तो अकेला है, तूफ़ान हज़ारों हैं

सूरत से तो इन्सां हैं दुश्मन हैं मुहब्बत के
सब चोर हैं डाकू हैं माँ-बहनों की इज़्ज़त के
कहने को ज़माने में इन्सान हज़ारों हैं
दीपक तो अकेला है, तूफ़ान हज़ारों हैं

हमदर्द नहीं मिलता फिर आए जहाँ भर में
मोती की तरह प्यासे रोते हैं समन्दर में
अपना ही नहीं कोई अंजान हज़ारों हैं
दीपक तो अकेला है, तूफ़ान हज़ारों हैं

bekas kī tabāhī ke sāmān hazāroṅ haiṅ
dīpak to akelā hai, tūfān hazāroṅ haiṅ

lāchār kiyā hamko lāchār kiyā hamko (?)
dukh dard jalan āṇsū, k‌yā k‌yā nā diyā hamko
bhagvān tere hampar ehsān hazāroṅ haiṅ
dīpak to akelā hai, tūfān hazāroṅ haiṅ

sūrat se to insāṅ haiṅ duśhman haiṅ muhabbat ke
sab chor haiṅ ḍākū haiṅ māṇ-bahnoṅ kī izazat ke
kahne ko zamāne meṅ insān hazāroṅ haiṅ
dīpak to akelā hai, tūfān hazāroṅ haiṅ

hamdard nahīṅ miltā phir āe jahāṇ bhar meṅ
motī kī tarah pyāse rote haiṅ samandar meṅ
apnā hī nahīṅ koī aṅjān hazāroṅ haiṅ
dīpak to akelā hai, tūfān hazāroṅ haiṅ