बेदर्द ज़रा सुन ले ग़रीबों की कहानी
बेदर्द ज़रा सुन ले ग़रीबों की कहानी
खाना तो है खाना इन्हें मिलता नहीं पानी
मलमल के बिछौने पे है तू ऐश में खोया
हमसाया तेरा रात को पत्थर पे है सोया
तू ख़ुश है मुसलमानों को आराम कहाँ है
बतला मेरे हमदर्द इस्लाम कहाँ है
दोज़ख़ को भुला क्यों शोलाफ़शानी
बेदर्द ज़रा सुन ले …
तुम बानी-ए-इस्लाम का फ़रमान तो देखो
अल्लाह का क्या हुक़म है क़ुरान तो देखो
इरशाद-ए-नबीं यह है कि खुद बाद में खाओ
भूखा जो पड़ोसी हो उसे पहले खिलाओ
बीमार जो हैं उनकी मदद फ़र्ज़ तुम्हारा
मुहताज़ जो हैं उनको सदा देना सहारा
पर तुमने तो इनमें से कोई बात न मानी
बेदर्द ज़रा सुन ले …
बीमार ग़रीबों के लिए बन के भिखारी
ऐ भाइयों आए हैं ख़िदमत में तुम्हारी
है कार-ए-सबब आँख अगर रहम की खोली
दाता भला हो भर दे फ़क़ीरों की झोली
इस शाम से पैदा करो सुबह सुहानी
बेदर्द ज़रा सुन ले …
bedard zarā sun le ġharīboṅ kī kahānī
khānā to hai khānā inheṅ miltā nahīṅ pānī
malmal ke bichhaune pe hai tū aiśh meṅ khoyā
hamsāyā terā rāt ko patthar pe hai soyā
tū khuśh hai musalmānoṅ ko ārām kahāṇ hai
batlā mere hamdard islām kahāṇ hai
dozakh ko bhulā kyoṅ śholāfśhānī
bedard zarā sun le …
tum bānī-e-islām kā farmān to dekho
allāh kā kyā huqam hai qurān to dekho
irśhād-e-nabīṅ yah hai ki khud bād meṅ khāo
bhūkhā jo paṛosī ho use pahle khilāo
bīmār jo haiṅ unkī madad farz tumhārā
muhtāz jo haiṅ unko sadā denā sahārā
par tumne to inmeṅ se koī bāt na mānī
bedard zarā sun le …
bīmār ġharīboṅ ke lie ban ke bhikhārī
ai bhāiyoṅ āe haiṅ khidamat meṅ tumhārī
hai kār-e-sabab āṇkh agar raham kī kholī
dātā bhalā ho bhar de faqīroṅ kī jholī
is śhām se paidā karo subah suhānī
bedard zarā sun le …