Bechain nazar betaab jigr

बेचैन नज़र बेताब जिगर
Work
Year
Language

बेचैन नज़र बेताब जिगर
ये दिल है किसीका दीवाना, हाय दीवाना
कब शाम हो और वो शम्मा जले
कब उड़ कर पहुँचे परवाना
है दिल का चमन खिलने के लिये
आयेगा कोई मिलने के लिये
फूलों से कहो, तारों से कहो
चुपके से सजा दें वीराना
जब रात ज़रा शबनम से धुले
लहराई हुई वो जुल्फ़ खुले
नज़रों से नज़र एक भेद कहे
दिल दिल से कहे एक अफ़साना
रंगीन फ़िज़ा छाये तो ज़रा
वादे पे कोई आये तो ज़रा
ऐ जोश-ए-वफ़ा दिल चीज़ है क्या
हम जान भी दें दें नज़राना

bechain nazar betāb jigar
ye dil hai kisīkā dīvānā, hāy dīvānā
kab śhām ho aur vo śhammā jale
kab uṛ kar pahuṇche parvānā
hai dil kā chaman khilne ke liye
āyegā koī milne ke liye
phūloṅ se kaho, tāroṅ se kaho
chupke se sajā deṅ vīrānā
jab rāt zarā śhabnam se dhule
lahrāī huī vo julf khule
nazroṅ se nazar ek bhed kahe
dil dil se kahe ek afsānā
raṅgīn fizā chhāye to zarā
vāde pe koī āye to zarā
ai jośh-e-vafā dil chīz hai kyā
ham jān bhī deṅ deṅ nazrānā