बस्ती बस्ती परबत परबत गाता जाए बंजारा
लेकर दिल का एकतारा
पल दो पल का साथ हमारा पल दो पल की यारी
आज रुके तो कल करनी है चलने की तैयारी
कदम कदम पर होनी बैठी अपना जाल बिछाए
इस जीवन की राह में जाने कौन कहाँ रह जाए
धन दौलत के पीछे क्यों है ये दुनिया दीवानी
यहाँ की दौलत यहाँ रहेगी साथ नहीं ये जानी
सोने चाँदी में तुलता हो जहाँ दिलों का प्यार
आाँसू भी बेकार वहाँ पर आहें भी बेकार
दुनिया के बाज़ार में आखिर चाहत भी ब्योपार बनी
तेरे दिल से उनके दिल तक चाँदी की दीवार बनी
हम जैसों के भाग में लिखा चाहत का वरदान नहीं
जिसने हमको जनम दिया वो पत्थर है भगवान नहीं
बस्ती बस्ती परबत परबत गाता जाए बंजारा
Work
Year
Language
bastī bastī parbat parbat gātā jāe baṅjārā
lekar dil kā ektārā
pal do pal kā sāth hamārā pal do pal kī yārī
āj ruke to kal karnī hai chalne kī taiyārī
kadam kadam par honī baiṭhī apnā jāl bichhāe
is jīvan kī rāh meṅ jāne kaun kahāṇ rah jāe
dhan daulat ke pīchhe kyoṅ hai ye duniyā dīvānī
yahāṇ kī daulat yahāṇ rahegī sāth nahīṅ ye jānī
sone chāṇdī meṅ tultā ho jahāṇ diloṅ kā pyār
āāṇsū bhī bekār vahāṇ par āheṅ bhī bekār
duniyā ke bāzār meṅ ākhir chāhat bhī byopār banī
tere dil se unke dil tak chāṇdī kī dīvār banī
ham jaisoṅ ke bhāg meṅ likhā chāhat kā vardān nahīṅ
jisne hamko janam diyā vo patthar hai bhagvān nahīṅ