Bare miyaan deevaane aise naa bano

बड़े मियाँ दीवाने ऐसे ना बनो
Work
Year
Language

बड़े मियाँ दीवाने ऐसे ना बनो
हसीना क्‌या चाहे हमसे सुनो
बड़े मियाँ दीवाने …

सबसे पहले सुनो मियाँ करके वर्जिश बनो जवाँ
चेहरा polish किया करो थोड़ी मालिश किया करो
style से उठे क़दम सीना ज़्यादा तो पेट कम
ऐ किबला उजले बालों को रंग डालो बन जाओ गुलफ़ाम
बड़े मियाँ दीवाने …

हसीना क्‌या चाहे
जौ: यही तो मालूम नहीं
हमसे सुनो

सीखो करतब नए-नए fashion के ढंग नए-नए
ढीला-ढाला लिबास क्‌यों रेशम पहनो कपास क्‌यों
फ़न ये जादूगरी का है अरमाँ तुझको परी का है
तो किबला मारो मंतर टेढ़ी (?) बन कर निकलो वक़्त-ए-शाम
बड़े मियाँ दीवाने …

तन्हाई में अगर कहीं आ जाए वो नज़र कहीं
कहिए हाथों में हाथ डाल ए गुल-चेहरा परी-जमाल
मुद्दत से दिल उदास है तेरे होंठों की प्यास है
ऐ दिलबर मेरे लब पर कब छलकेगा तेरे लब का जाम
बड़े मियाँ दीवाने …

baṛe miyāṇ dīvāne aise nā bano
hasīnā k‌yā chāhe hamse suno
baṛe miyāṇ dīvāne …

sabse pahle suno miyāṇ karke varjiśh bano javāṇ
chehrā polish kiyā karo thoṛī māliśh kiyā karo
style se uṭhe qadam sīnā zyādā to peṭ kam
ai kiblā ujle bāloṅ ko raṅg ḍālo ban jāo gulafām
baṛe miyāṇ dīvāne …

hasīnā k‌yā chāhe
jau: yahī to mālūm nahīṅ
hamse suno

sīkho kartab nae-nae fashion ke ḍhaṅg nae-nae
ḍhīlā-ḍhālā libās k‌yoṅ reśham pahno kapās k‌yoṅ
fan ye jādūgrī kā hai armāṇ tujhko parī kā hai
to kiblā māro maṅtar ṭeṛhī (?) ban kar niklo vaqt-e-śhām
baṛe miyāṇ dīvāne …

tanhāī meṅ agar kahīṅ ā jāe vo nazar kahīṅ
kahie hāthoṅ meṅ hāth ḍāl e gul-chehrā parī-jamāl
muddat se dil udās hai tere hoṅṭhoṅ kī pyās hai
ai dilbar mere lab par kab chhalkegā tere lab kā jām
baṛe miyāṇ dīvāne …