Barbaad meree duniyaa pal bhar men ho gaee

बरबाद मेरी दुनिया पल भर में हो गई
Work
Year
Language

बरबाद मेरी दुनिया पल भर में हो गई
किसको मैं दोष दूँ मेरी क़िस्मत ही सो गई

दिल को लगी है आग और अरमान जल गए
मिटती हुई उम्मीद भी है आज रो रही

है छा गया अन्धेरा आँखों के सामने
रो-रो के मेरी हालत ऐसी है हो गई

मैं क्‌या कहूँ किसी से क्‌या खो गया है मेरा
कि मेरी ज़िन्दगी ही मुझसे है खो गई

barbād merī duniyā pal bhar meṅ ho gaī
kisko maiṅ doṣh dūṇ merī qismat hī so gaī

dil ko lagī hai āg aur armān jal gae
miṭtī huī ummīd bhī hai āj ro rahī

hai chhā gayā andherā āṇkhoṅ ke sāmne
ro-ro ke merī hālat aisī hai ho gaī

maiṅ k‌yā kahūṇ kisī se k‌yā kho gayā hai merā
ki merī zindgī hī mujhse hai kho gaī