Baraa hee cha ee da hai vah neelee chhatree vaalaa

बड़ा ही च ई ड है वह नीली छतरी वाला
Work
Year
Language

बड़ा ही C I D है वह नीली छतरी वाला
हर ताले की चाबी रखे हर चाबी का ताला

वरदी उसकी बड़ी निराली कहीं नज़र ना आने वाली
ना कोई बिल्ला ना कोई number दफ़्तर उसका नीला अंबर
note है उसके pocket book में सबका माल-मसाला
बड़ा ही C I D …

छिप-छिप कोई डाका डाले या करे ख़ून
हो जाए उसका automatic telephone
वो तो चौबीस घंटे जागे उसकी आँख कभी ना लागे
होशियार ख़बरदार
बच के रहना देख रहा है सब कुछ ऊपर वाला
बड़ा ही C I D …

लम्बा-चौड़ा उसका थाना सबको इक दिन वहीं है जाना
क्‌या पिता जी और क्‌या माता सास-ससुरा और भ्राता
उसकी नज़र में सब हैं बराबर क्‌या साली क्‌या साला
बड़ा ही C I D …

baṛā hī C I D hai vah nīlī chhatrī vālā
har tāle kī chābī rakhe har chābī kā tālā

vardī uskī baṛī nirālī kahīṅ nazar nā āne vālī
nā koī billā nā koī number daftar uskā nīlā aṅbar
note hai uske pocket book meṅ sabkā māl-masālā
baṛā hī C I D …

chhip-chhip koī ḍākā ḍāle yā kare khūn
ho jāe uskā automatic telephone
vo to chaubīs ghaṅṭe jāge uskī āṇkh kabhī nā lāge
hośhiyār khabardār
bach ke rahnā dekh rahā hai sab kuchh ūpar vālā
baṛā hī C I D …

lambā-chauṛā uskā thānā sabko ik din vahīṅ hai jānā
k‌yā pitā jī aur k‌yā mātā sās-sasurā aur bhrātā
uskī nazar meṅ sab haiṅ barābar k‌yā sālī k‌yā sālā
baṛā hī C I D …