Baraa bedard jahaan hai yahaan insaaf kahaan hai

बड़ा बेदर्द जहाँ है यहाँ इन्साफ़ कहाँ है
Year
Language

बड़ा बेदर्द जहाँ है यहाँ इन्साफ़ कहाँ है
मुझे ओ दुनिया वाले वापस बुला ले
बड़ा बेदर्द जहाँ …

आग लगे संसार को अन्धा जिसका न्याय
यहाँ तो माँ की मामता धन से तौली जाय
बड़ा बेदर्द जहाँ …

ये कैसा जग है विधाता प्यार माँ का ठुकराता
माँ हो कर मैं माँ नहीं फूट गए मेरे भाग
ले गए ज़ालिम छीन के घर का मेरे चिराग़ -2
बड़ा बेदर्द जहाँ …

तुम बिन मेरे लाडले सूना मेरा जहाँ
किसे सुनाऊँ लोरियां कौन कहे मुझे मां -2
कोई मेरा दर्द न जाने किसे जाऊँ समझाने
मुझे ओ दुनिया वाले …

baṛā bedard jahāṇ hai yahāṇ insāf kahāṇ hai
mujhe o duniyā vāle vāpas bulā le
baṛā bedard jahāṇ …

āg lage saṅsār ko andhā jiskā nyāy
yahāṇ to māṇ kī māmtā dhan se taulī jāy
baṛā bedard jahāṇ …

ye kaisā jag hai vidhātā pyār māṇ kā ṭhukrātā
māṇ ho kar maiṅ māṇ nahīṅ phūṭ gae mere bhāg
le gae zālim chhīn ke ghar kā mere chirāġh -2
baṛā bedard jahāṇ …

tum bin mere lāḍle sūnā merā jahāṇ
kise sunāūṇ loriyāṅ kaun kahe mujhe māṅ -2
koī merā dard na jāne kise jāūṇ samjhāne
mujhe o duniyā vāle …