Bane chaahe dushman zamaanaa hamaaraa

बने चाहे दुश्मन ज़माना हमारा
Work
Year
Language

र: बने चाहे दुश्मन ज़माना हमारा
सलामत रहे दोस्ताना हमारा
कि: बने चाहे …

र: वो ख़्वाबों के दिन वो किताबों के दिन
सवालों की रातें जवाबों के दिन
कई साल हमने गुज़ारे यहाँ
यहीं साथ खेले हुए हम जवां
हुए हम जवां
था बचपन बड़ा आशिकाना हमारा
सलामत रहे दोस्ताना हमारा
कि: बने चाहे …

कि: ना बिछड़ेंगे मर के भी हम दोस्तों
हमें दोस्ती की क़सम दोस्तों
पता कोई पूछे तो कहते हैं हम
के एक दूजे के दिल मे रहते हैं हम
रहते हैं हम
नहीं और कोई ठिकाना हमारा
सलामत रहे दोस्ताना हमारा
र: बने चाहे …

ra: bane chāhe duśhman zamānā hamārā
salāmat rahe dostānā hamārā
ki: bane chāhe …

ra: vo khvāboṅ ke din vo kitāboṅ ke din
savāloṅ kī rāteṅ javāboṅ ke din
kaī sāl hamne guzāre yahāṇ
yahīṅ sāth khele hue ham javāṅ
hue ham javāṅ
thā bachapan baṛā āśhikānā hamārā
salāmat rahe dostānā hamārā
ki: bane chāhe …

ki: nā bichhaṛeṅge mar ke bhī ham dostoṅ
hameṅ dostī kī qasam dostoṅ
patā koī pūchhe to kahte haiṅ ham
ke ek dūje ke dil me rahte haiṅ ham
rahte haiṅ ham
nahīṅ aur koī ṭhikānā hamārā
salāmat rahe dostānā hamārā
ra: bane chāhe …