Balaayen loon main us dil kee jo duniyaa ke liye ro de

बलायें लूँ मैं उस दिल की जो दुनिया के लिये रो दे
Work
Year
Language

बलायें लूँ मैं उस दिल की
बलायें लूँ मैं उस दिल की जो दुनिया के लिये रो दे
जहाँ वालों के रंज-ओ-ग़म को अपने ख़ून से धो दे -2

जला के आशियाँ अपना बसा के ग़ैर की महफ़िल -2
किसी के सोज़-ए-ग़म में अपने साचे दिल को भी खो दे -2

मेरी आँखों में उसकी आँख ही इज़्ज़त के क़ाबिल है -2
हाँ हाँ इज़्ज़त के क़ाबिल है
जो आँसू बन के बह जाये
जो आँसू बन के बह जाये उसी को ख़ुद में ही खो दे -2

balāyeṅ lūṇ maiṅ us dil kī
balāyeṅ lūṇ maiṅ us dil kī jo duniyā ke liye ro de
jahāṇ vāloṅ ke raṅj-o-ġham ko apne khūn se dho de -2

jalā ke āśhiyāṇ apnā basā ke ġhair kī mahafil -2
kisī ke soz-e-ġham meṅ apne sāche dil ko bhī kho de -2

merī āṇkhoṅ meṅ uskī āṇkh hī izazat ke qābil hai -2
hāṇ hāṇ izazat ke qābil hai
jo āṇsū ban ke bah jāye
jo āṇsū ban ke bah jāye usī ko khud meṅ hī kho de -2