बदला तो ऐसे बदला ... ज़िन्दगी भर ग़म जुदाई
बदला तो ऐसे बदला है कुछ रंग-ए-गुलसिताँ
इक फूल पे बहार है इक फूल पे ख़िज़ाँ
ज़िन्दगी भर ग़म जुदाई का मुझे तड़पाएगा
हर नया मौसम पुरानी याद लेकर आएगा
ज़िन्दगी भर ग़म …
हैं वही राहें वही गलियाँ मगर सुनसान हैं
तू नहीं तो दिल की सारी बस्तियाँ वीरान हैं
दिल में है जो ग़म तेरा वो जान लेकर जाएगा
ज़िन्दगी भर ग़म …
हों मुबारक तुझको ख़ुशियाँ और मुझे रुसवाइयाँ
तुझको तेरा घर सलामत और मुझे तनहाइयाँ
मरते-मरते भी तेरा ही नाम लब पे आएगा
ज़िन्दगी भर ग़म …
badlā to aise badlā hai kuchh raṅg-e-gulsitāṇ
ik phūl pe bahār hai ik phūl pe khizāṇ
zindgī bhar ġham judāī kā mujhe taṛpāegā
har nayā mausam purānī yād lekar āegā
zindgī bhar ġham …
haiṅ vahī rāheṅ vahī galiyāṇ magar sunsān haiṅ
tū nahīṅ to dil kī sārī bastiyāṇ vīrān haiṅ
dil meṅ hai jo ġham terā vo jān lekar jāegā
zindgī bhar ġham …
hoṅ mubārak tujhko khuśhiyāṇ aur mujhe rusvāiyāṇ
tujhko terā ghar salāmat aur mujhe tanhāiyāṇ
marte-marte bhī terā hī nām lab pe āegā
zindgī bhar ġham …