बधाई हो बधाई, जनमदिन की तुमको
बधाई हो बधाई, जनमदिन की तुमको
जनमदिन तुम्हारा मिलेंगे लड्डू हमको
बधाई हो बधाई, जनमदिन की तुमको
सदा दिल लगा के तू मेहनत से पढ़ना
मेहनत से पढ़ना
पढ़ाई में आगे से आगे ही बढ़ना
आगे ही बढ़ना
अच्छा जी बताओ मैंने ऐसा क्यूँ कहा
जो तुम पास होगे मिलेंगे लड्डू हमको
बधाई हो बधाई, जनमदिन की तुमको
बड़े हो के लाना हमारी तू भाभी
हमारी तू भाभी
के जिसकी हो रंगत गुलाबी-गुलाबी
गुलाबी-गुलाबी
अच्छा जी बताओ मैंने ऐसा क्यूँ कहा
तुम्हारी होगी शादी मिलेंगे लड्डू हमको
बधाई हो बधाई, जनमदिन की तुमको
बुढ़ापे में होंगे इधर बाल पक्के
इधर बाल पक्के
उधर होंगे घर में जी बच्चों के बच्चे
जी बच्चों के बच्चे
अच्छा जी बताओ मैंने ऐसा क्यूँ कहा
तुम्हारे होगा पोता मिलेंगे लड्डू हमको
बधाई हो बधाई, जनमदिन की तुमको
badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
janamdin tumhārā mileṅge laḍḍū hamko
badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
sadā dil lagā ke tū mehnat se paṛhnā
mehnat se paṛhnā
paṛhāī meṅ āge se āge hī baṛhnā
āge hī baṛhnā
achchhā jī batāo maiṅne aisā kyūṇ kahā
jo tum pās hoge mileṅge laḍḍū hamko
badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
baṛe ho ke lānā hamārī tū bhābhī
hamārī tū bhābhī
ke jiskī ho raṅgat gulābī-gulābī
gulābī-gulābī
achchhā jī batāo maiṅne aisā kyūṇ kahā
tumhārī hogī śhādī mileṅge laḍḍū hamko
badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko
buṛhāpe meṅ hoṅge idhar bāl pakke
idhar bāl pakke
udhar hoṅge ghar meṅ jī bachchoṅ ke bachche
jī bachchoṅ ke bachche
achchhā jī batāo maiṅne aisā kyūṇ kahā
tumhāre hogā potā mileṅge laḍḍū hamko
badhāī ho badhāī, janamdin kī tumko