Badal chalee hai jo unkee ... jaadoo buraa bangaal kaa

बदल चली है जो उनकी ... जादू बुरा बंगाल का
Year
Language

बदल चली है जो उनकी नज़र तो क्‌या कीजे
हाँ
बदल चली है जो उनकी नज़र तो क्‌या कीजे
वफ़ा का थाम के दामन ये इल्तजा कीजे
हाँ

( जादू बुरा बंगाल का
पूरब न जइहो
पूरब न जइहो बालमा ) -2
हो
न जइहो मोरे बालमा
पूरब न जइहो
न जइहो बालमा
पूरब न जइहो
हाँ हाँ
पूरब न जइहो बालमा ओ

हाँ
जीते जी दिल पे जुदाई का तीर सहना पड़ा
जला के आशियाँ अपना क़फ़स में रहना पड़ा
हाय
लिखा है कौन से पत्थर ने ये लैला का नसीब
के थाम के चाक कलेजा ज़ुबाँ से कहना पड़ा

क्‌या

जादू बुरा बंगाल का
न जइहो हो बालमा
पूरब न जइहो
न जइहो न जइहो बालमा
जादू बुरा बंगाल का
पूरब न जइहो
पूरब न जइहो बालमा

रोज़ करते हो बहाने तुम्हें हम जान गये
कोई जाने या ना जाने तुम्हें हम जान गये -2
पहले तो दिल को चुराया है भरी महफ़िल में -2
अब लगे आँख चुराने तुम्हें हम जान गये
हो
अब लगे आँख चुराने तुम्हें हम जान गये

न जइहो बालमा
पूरब न जइहो
न जइहो बालमा
पूरब न जइहो
पूरब न जइहो बालमा
जादू बुरा बंगाल का
पूरब न जइहो
पूरब न जइहो बालमा

badal chalī hai jo unkī nazar to k‌yā kīje
hāṇ
badal chalī hai jo unkī nazar to k‌yā kīje
vafā kā thām ke dāman ye iltjā kīje
hāṇ

( jādū burā baṅgāl kā
pūrab na jaiho
pūrab na jaiho bālmā ) -2
ho
na jaiho more bālmā
pūrab na jaiho
na jaiho bālmā
pūrab na jaiho
hāṇ hāṇ
pūrab na jaiho bālmā o

hāṇ
jīte jī dil pe judāī kā tīr sahnā paṛā
jalā ke āśhiyāṇ apnā qafas meṅ rahnā paṛā
hāy
likhā hai kaun se patthar ne ye lailā kā nasīb
ke thām ke chāk kalejā zubāṇ se kahnā paṛā

k‌yā

jādū burā baṅgāl kā
na jaiho ho bālmā
pūrab na jaiho
na jaiho na jaiho bālmā
jādū burā baṅgāl kā
pūrab na jaiho
pūrab na jaiho bālmā

roz karte ho bahāne tumheṅ ham jān gaye
koī jāne yā nā jāne tumheṅ ham jān gaye -2
pahle to dil ko churāyā hai bharī mahafil meṅ -2
ab lage āṇkh churāne tumheṅ ham jān gaye
ho
ab lage āṇkh churāne tumheṅ ham jān gaye

na jaiho bālmā
pūrab na jaiho
na jaiho bālmā
pūrab na jaiho
pūrab na jaiho bālmā
jādū burā baṅgāl kā
pūrab na jaiho
pūrab na jaiho bālmā