Baalam aaye baso more man men

बालम आये बसो मोरे मन में
Work
Year
Language

बालम आये बसो मोरे मन में (2)
बालम

बालम आये बसो मोरे मन में (2)
सावन आया तुम न आये (2)
तुम बिन रसिया कुछ न भाये (2)
मन में मोरे हूक उठत जब (2)
कोयल कूकती बन में
बालम आये बसो मोरे मन में (2)

सूरतिया जाकी मतवारी (2)
पतली कमरिया उमरिया बारी
सूरतिया जाकी मतवारी
पतली कमरिया उमरिया बारी
एक नया संसार बसा है (2)
जिनके दो नैनन में
बालम आये बसो मोरे मन में (2)

bālam āye baso more man meṅ (2)
bālam

bālam āye baso more man meṅ (2)
sāvan āyā tum na āye (2)
tum bin rasiyā kuchh na bhāye (2)
man meṅ more hūk uṭhat jab (2)
koyal kūktī ban meṅ
bālam āye baso more man meṅ (2)

sūrtiyā jākī matvārī (2)
patlī kamriyā umriyā bārī
sūrtiyā jākī matvārī
patlī kamriyā umriyā bārī
ek nayā saṅsār basā hai (2)
jinke do nainan meṅ
bālam āye baso more man meṅ (2)