Baaghon men bahaaron men ithlaataa gaataa aayaa koee

बाग़ों में बहारों में इठलाता गाता आया कोई
Year
Language

बाग़ों में बहारों में इठलाता गाता आया कोई
नाज़ुक-नाज़ुक कलियों के दिल को धड़काता आया कोई
आया कोई आया कोई
होय बाग़ों में बहारों …

भीनी हवा ऊदी घटा
कहे तेरे आँगन में बरसेगा प्यार
फूलों के हार ले के बहार
करने को आई मेरे सोलह-सिंगार
रंगों की उमंगों की गागर छलकाता आया कोई
आया कोई आया कोई
होय बाग़ों में बहारों …

सपनों के जाल रंगीं ख़्याल
दे के हिचकोले कहें आँख न खोल
दिल की ये बात दिल का ये राज़
जाने न कोई तू कुछ न बोल
आँखों के इशारों से सब कुछ समझाता आया कोई
आया कोई आया कोई
होय बाग़ों में बहारों …

छाया है आज रिमझिम का राग
फिर भी है मेरे दिल को उनका ही ग़म
सखियों से दूर अपनों से दूउर
किसे है ख़बर कल कहाँ होंगे हम
उलझन की दीवारों से दिल को टकराता आया कोई
आया कोई आया कोई
होय बाग़ों में बहारों …

bāġhoṅ meṅ bahāroṅ meṅ iṭhlātā gātā āyā koī
nāzuk-nāzuk kaliyoṅ ke dil ko dhaṛkātā āyā koī
āyā koī āyā koī
hoy bāġhoṅ meṅ bahāroṅ …

bhīnī havā ūdī ghaṭā
kahe tere āṇgan meṅ barsegā pyār
phūloṅ ke hār le ke bahār
karne ko āī mere solah-siṅgār
raṅgoṅ kī umaṅgoṅ kī gāgar chhalkātā āyā koī
āyā koī āyā koī
hoy bāġhoṅ meṅ bahāroṅ …

sapnoṅ ke jāl raṅgīṅ khyāl
de ke hichkole kaheṅ āṇkh na khol
dil kī ye bāt dil kā ye rāz
jāne na koī tū kuchh na bol
āṇkhoṅ ke iśhāroṅ se sab kuchh samjhātā āyā koī
āyā koī āyā koī
hoy bāġhoṅ meṅ bahāroṅ …

chhāyā hai āj rimjhim kā rāg
phir bhī hai mere dil ko unkā hī ġham
sakhiyoṅ se dūr apnoṅ se dūur
kise hai khabar kal kahāṇ hoṅge ham
uljhan kī dīvāroṅ se dil ko ṭakrātā āyā koī
āyā koī āyā koī
hoy bāġhoṅ meṅ bahāroṅ …