Baad muddat ke ... kar sakegaa naa judaa hamko

बाद मुद्दत के ... कर सकेगा ना जुदा हमको
Work
Year
Language

जी: ओ
बाद मुद्दत के हुआ दूर अन्धेरा ग़म का
ल: ओ
आज से फिर मेरी क़िसमत का सितारा चमका

कर सकेगा ना जुदा तुमको कभी हमसे ज़माना -2
जी: चल सकेगा ना किसी का भी कोई हमसे बहाना
ल: कर सकेगा ना जुदा तुमको कभी हमसे ज़माना -2

जी: जो शर्तें लगाई थीं हुईं आज वो पूरी
के हुईं आज वो पूरी
सच्ची है मोहब्बत तो रहे कैसे अधूरी
तो रहे कैसे अधूरी
ल: पड़ के दुनिया के झमेलों में कहीं भूल ना जाना -2
जी: चल सकेगा ना किसी का भी कोई हमसे बहाना
ल: कर सकेगा ना जुदा तुमको कभी हमसे ज़माना

ल: ओ
कलियाँ हैं कहीं फूल कहीं चाँद-सितारे
दीवाना हुआ जाता है दिल प्यार के मारे
जी: आओ फिर गायें गले मिल के मोहब्बत का तराना
दो: आओ फिर गायें गले मिल के मोहब्बत का तराना
जी: चल सकेगा ना किसी का भी कोई हमसे बहाना -2
दो: कर सकेगा ना जुदा तुमको कभी हमसे ज़माना -2

jī: o
bād muddat ke huā dūr andherā ġham kā
la: o
āj se phir merī qismat kā sitārā chamkā

kar sakegā nā judā tumko kabhī hamse zamānā -2
jī: chal sakegā nā kisī kā bhī koī hamse bahānā
la: kar sakegā nā judā tumko kabhī hamse zamānā -2

jī: jo śharteṅ lagāī thīṅ huīṅ āj vo pūrī
ke huīṅ āj vo pūrī
sachchī hai mohabbat to rahe kaise adhūrī
to rahe kaise adhūrī
la: paṛ ke duniyā ke jhameloṅ meṅ kahīṅ bhūl nā jānā -2
jī: chal sakegā nā kisī kā bhī koī hamse bahānā
la: kar sakegā nā judā tumko kabhī hamse zamānā

la: o
kaliyāṇ haiṅ kahīṅ phūl kahīṅ chāṇd-sitāre
dīvānā huā jātā hai dil pyār ke māre
jī: āo phir gāyeṅ gale mil ke mohabbat kā tarānā
do: āo phir gāyeṅ gale mil ke mohabbat kā tarānā
jī: chal sakegā nā kisī kā bhī koī hamse bahānā -2
do: kar sakegā nā judā tumko kabhī hamse zamānā -2