Aurat ne janam diyaa mardon ko, mardon ne use baazaar diyaa

औरत ने जनम दिया मर्दोन को, मरदों ने उसे बाज़ार दिया
Work
Year
Language

औरत ने जनम दिया मर्दों को, मर्दों ने उसे बाज़ार दिया
जब जी चाहा कुचला मसला, जब जी चाहा दुत्कार दिया

तुलती है कहीं दीनारों में, बिकती है कहीं बाज़ारों में
नंगी नचवाई जाती है, ऐय्याशों के दरबारों में
ये वो बेइज़्ज़त चीज़ है जो, बंट जाती है इज़्ज़तदारों में

मर्दों के लिये हर ज़ुल्म रवाँ, औरत के लिये रोना भी खता
मर्दों के लिये लाखों सेजें, औरत के लिये बस एक चिता
मर्दों के लिये हर ऐश का हक़, औरत के लिये जीना भी सज़ा

जिन होठों ने इनको प्यार किया, उन होठों का व्यापार किया
जिस कोख में इनका जिस्म ढला, उस कोख का कारोबार किया
जिस तन से उगे कोपल बन कर, उस तन को ज़लील-ओ-खार किया

मर्दों ने बनायी जो रस्में, उनको हक़ का फ़रमान कहा
औरत के ज़िन्दा जल जाने को, कुर्बानी और बलिदान कहा
क़िस्मत के बदले रोटी दी, उसको भी एहसान कहा

संसार की हर एक बेशर्मी, गुर्बत की गोद में पलती है
चकलों में ही आ के रुकती है, फ़ाकों में जो राह निकलती है
मर्दों की हवस है जो अक्‌सर, औरत के पाप में ढलती है

औरत संसार की क़िस्मत है, फ़िर भी तक़दीर की होती है
अवतार पयम्बर जनती है, फिर भी शैतान की बेटी है
ये वो बदक़िस्मत माँ है जो, बेटों की सेज़ पे लेटी है

aurat ne janam diyā mardoṅ ko, mardoṅ ne use bāzār diyā
jab jī chāhā kuchlā maslā, jab jī chāhā dutkār diyā

tultī hai kahīṅ dīnāroṅ meṅ, biktī hai kahīṅ bāzāroṅ meṅ
naṅgī nachvāī jātī hai, aiyyāśhoṅ ke darbāroṅ meṅ
ye vo beizazat chīz hai jo, baṅṭ jātī hai izazatdāroṅ meṅ

mardoṅ ke liye har zulm ravāṇ, aurat ke liye ronā bhī khatā
mardoṅ ke liye lākhoṅ sejeṅ, aurat ke liye bas ek chitā
mardoṅ ke liye har aiśh kā haq, aurat ke liye jīnā bhī sazā

jin hoṭhoṅ ne inko pyār kiyā, un hoṭhoṅ kā vyāpār kiyā
jis kokh meṅ inkā jism ḍhalā, us kokh kā kārobār kiyā
jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zalīl-o-khār kiyā

mardoṅ ne banāyī jo rasmeṅ, unko haq kā farmān kahā
aurat ke zindā jal jāne ko, kurbānī aur balidān kahā
qismat ke badle roṭī dī, usko bhī ehsān kahā

saṅsār kī har ek beśharmī, gurbat kī god meṅ paltī hai
chakloṅ meṅ hī ā ke ruktī hai, fākoṅ meṅ jo rāh nikaltī hai
mardoṅ kī havas hai jo ak‌sar, aurat ke pāp meṅ ḍhaltī hai

aurat saṅsār kī qismat hai, fir bhī taqdīr kī hotī hai
avtār payambar jantī hai, phir bhī śhaitān kī beṭī hai
ye vo badaqismat māṇ hai jo, beṭoṅ kī sez pe leṭī hai