Ashaar recital ... hamne maanaa ke ... mere baad

अशार recital ... हमने माना के ... मेरे बाद्
Year
Language

हमने माना के तग़ाफ़ुल न करोगे लेकिन
ख़ाक़ हो जायेंगे हम तुमको ख़बर होने तक
ख़ाक़ हो जायेंगे हम
हुस्न-ए-ग़म है के सज़ा सज़ से छुटा मेरे बाद
बाकी आराम से हैं अहल-ए-जफ़ा मेरे बाद
शमा बुझती है उसमें से धुआँ उठता है
शोला-ए-इश्क़ सिया-पोश हुआ मेरे बाद
ग़म से मरता हो के इतना नहीं दुनिया में कोई
क्‌यूँ करें ताजियत-मेहर-ओ-वफ़ा मेरे बाद
आये है दिलक़शी-ए-इश्क़ पे रोना ग़ालिब
इश्क़ घर जायेगा सैलाब-ए-बला मेरे बाद्

hamne mānā ke taġhāful na karoge lekin
khāq ho jāyeṅge ham tumko khabar hone tak
khāq ho jāyeṅge ham
husn-e-ġham hai ke sazā saz se chhuṭā mere bād
bākī ārām se haiṅ ahal-e-jafā mere bād
śhamā bujhtī hai usmeṅ se dhuāṇ uṭhtā hai
śholā-e-iśhq siyā-pośh huā mere bād
ġham se martā ho ke itnā nahīṅ duniyā meṅ koī
k‌yūṇ kareṅ tājiyat-mehar-o-vafā mere bād
āye hai dilaqśhī-e-iśhq pe ronā ġhālib
iśhq ghar jāyegā sailāb-e-balā mere bād