Are pyaar karnaa naheen aayaa hamen

अरे प्यार करना नहीं आया हमें
Work
Year
Language

अरे प्यार करना नहीं आया हमें प्यार करना नहीं आया
कर बैठे ये क्‌या कर बैठे ख़ुद को मिटा लिया हमने
घर को जला दिया हमने घर बैठे ये क्‌या कर बैठे
प्यार करना नहीं …

मिली इक दिलरुबा दिल मेरा ले गई
उम्र भर के लिए दर्द-ए-दिल ले गई
देखा जिस रोज़ से उसी के हो गए
ढूँढते-ढूँढते हम तो ख़ुद ही को खो गए
आँखें तो याद हैं दू-जहाँ भूल गए
ये किसलिए है कहाँ भूल गए
जिसने बनाया दीवाना उसने ही हमको ( न जाना ) -2
हम किस पर मर बैठे
प्यार करना नहीं …

जो भी हो शर्त तेरी वही मंज़ूर हमें
अपनी नज़रों से मगर न करना दूर हमें
मेरा अरमान है तू तू ही जीने की अदा
माफ़ सौ ख़ून तुझे माफ़ हर एक ख़ता
क्‌योंकि तू है मेरे दर्द-ए-दिल की दवा
मेरी ही तू बने माँगी है ये दुआ
कुछ भी हो पा के रहेंगे
तुझे अपना बना कर रहेंगे -2
इरादा कर बैठे
प्यार करना नहीं …

are pyār karnā nahīṅ āyā hameṅ pyār karnā nahīṅ āyā
kar baiṭhe ye k‌yā kar baiṭhe khud ko miṭā liyā hamne
ghar ko jalā diyā hamne ghar baiṭhe ye k‌yā kar baiṭhe
pyār karnā nahīṅ …

milī ik dilrubā dil merā le gaī
umr bhar ke lie dard-e-dil le gaī
dekhā jis roz se usī ke ho gae
ḍhūṇḍhte-ḍhūṇḍhte ham to khud hī ko kho gae
āṇkheṅ to yād haiṅ dū-jahāṇ bhūl gae
ye kislie hai kahāṇ bhūl gae
jisne banāyā dīvānā usne hī hamko ( na jānā ) -2
ham kis par mar baiṭhe
pyār karnā nahīṅ …

jo bhī ho śhart terī vahī maṅzūr hameṅ
apnī nazroṅ se magar na karnā dūr hameṅ
merā armān hai tū tū hī jīne kī adā
māf sau khūn tujhe māf har ek khatā
k‌yoṅki tū hai mere dard-e-dil kī davā
merī hī tū bane māṇgī hai ye duā
kuchh bhī ho pā ke raheṅge
tujhe apnā banā kar raheṅge -2
irādā kar baiṭhe
pyār karnā nahīṅ …