Are o re dhartee kee tarah har dukh sah le

अरे ओ रे धरती की तरह हर दुख सह ले
Year
Language

अरे ओ रे -2
धरती की तरह हर दुख सह ले सूरज की तरह तू जलती जा -2
सिन्दूर की लाज निभाने को चुप-चाप तू आग पे जलती जा -2
अरे ओ रे …

देखी न ख़ुशी तूने रे कोई -2
जीवन से प्यार भी रूठ गया
जिस घर को मंदिर माना था
वो घर भी तुझसे छूट गया
अरे ओ रे …

अपने युग की हर सीता को -2
शोलों पे बिठाया जाता है
दामन कितना ही पावन हो
पर दोष लगाया जाता है -2
अरे ओ रे …

संसार तुझी से चलता है -2
तेरी कोख से मौत भी हारी है
भगवान की तरह महान है तू
कहने को अबला नारी है
अरे ओ रे …

are o re -2
dhartī kī tarah har dukh sah le sūraj kī tarah tū jaltī jā -2
sindūr kī lāj nibhāne ko chup-chāp tū āg pe jaltī jā -2
are o re …

dekhī na khuśhī tūne re koī -2
jīvan se pyār bhī rūṭh gayā
jis ghar ko maṅdir mānā thā
vo ghar bhī tujhse chhūṭ gayā
are o re …

apne yug kī har sītā ko -2
śholoṅ pe biṭhāyā jātā hai
dāman kitnā hī pāvan ho
par doṣh lagāyā jātā hai -2
are o re …

saṅsār tujhī se chaltā hai -2
terī kokh se maut bhī hārī hai
bhagvān kī tarah mahān hai tū
kahne ko ablā nārī hai
are o re …