Apnon ko jo thukraaegaa ghairon kee thokren khaaegaa

अपनों को जो ठुकराएगा ग़ैरों की ठोकरें खाएगा
Work
Year
Language

अपनों को जो ठुकराएगा ग़ैरों की ठोकरें खाएगा
इक पल की ग़लतफ़हमी के लिए सारा जीवन पछताएगा

तूने समझा है जीत जिसे वो बन जाएगी हार कभी
ये मान तेरा अभिमान तेरा तुझपे ही करेगा वार कभी
ये चोट सही ना जाएगी ये दर्द सहा ना जाएगा
अपनों को जो …

शादी दो दिन का मेल नहीं गुड्डे-गुड़ियों का खेल नहीं
ये प्यार दो इन्सानों का ये इश्क़ नहीं दीवानों का
इसमें ज़िद का कुछ काम नहीं ये जीवन संग्राम नहीं
भूलोगे तो खो जाओगे तुम दूर बहुत हो जाओगे
बच्चों के साथ गुज़र कब तक ये देंगे साथ मगर कब तक
जब वो भी हो जाएँगे बड़े तुम सोचोगे ये दूर खड़े
क्‌या सच है क्‌या सपना है अब दुनिया में क्‌या अपना है
इसलिए ये बंधन मत तोड़ो अपनी मर्यादा मत छोड़ो
आप में जो टकराओगे तो टूट के बस रह जाओगे
अपनों को जो …

apnoṅ ko jo ṭhukrāegā ġhairoṅ kī ṭhokreṅ khāegā
ik pal kī ġhaltafahmī ke lie sārā jīvan pachhtāegā

tūne samjhā hai jīt jise vo ban jāegī hār kabhī
ye mān terā abhimān terā tujhpe hī karegā vār kabhī
ye choṭ sahī nā jāegī ye dard sahā nā jāegā
apnoṅ ko jo …

śhādī do din kā mel nahīṅ guḍḍe-guṛiyoṅ kā khel nahīṅ
ye pyār do insānoṅ kā ye iśhq nahīṅ dīvānoṅ kā
ismeṅ zid kā kuchh kām nahīṅ ye jīvan saṅgrām nahīṅ
bhūloge to kho jāoge tum dūr bahut ho jāoge
bachchoṅ ke sāth guzar kab tak ye deṅge sāth magar kab tak
jab vo bhī ho jāeṇge baṛe tum sochoge ye dūr khaṛe
k‌yā sach hai k‌yā sapnā hai ab duniyā meṅ k‌yā apnā hai
islie ye baṅdhan mat toṛo apnī maryādā mat chhoṛo
āp meṅ jo ṭakrāoge to ṭūṭ ke bas rah jāoge
apnoṅ ko jo …