Apnee naakaamee se mujh ko kaam hai

अपनी नाकामी से मुझ को काम है
Year
Language

अपनी नाकामी से मुझ को काम है
हो उन्हें राहत हमें आराम है

दिल हमारा और नहीं कुछ इख़्तियार
हाय मजबूरी इसी का नाम है

दिल की उल्झन में पता चलता नहीं
हम कहाँ हैं सुबह है या शाम है

हम तड़पते हैं नहीं उन को ख़बर
क्‌या मुहब्बत का यही अंजाम है

apnī nākāmī se mujh ko kām hai
ho unheṅ rāhat hameṅ ārām hai

dil hamārā aur nahīṅ kuchh ikhtiyār
hāy majbūrī isī kā nām hai

dil kī uljhan meṅ patā chaltā nahīṅ
ham kahāṇ haiṅ subah hai yā śhām hai

ham taṛapte haiṅ nahīṅ un ko khabar
k‌yā muhabbat kā yahī aṅjām hai