Apnaa hai phir bhee apnaa barhkar gale lagaa le

अपना है फिर भी अपना बढ़कर गले लगा ले
Work
Year
Language

अपना है फिर भी अपना बढ़कर गले लगा ले
अच्छा है या बुरा है अपना उसे बना ले

मत सोच तेरे दिल में ये कैसी कश-म-कश है
जो खींचती है तुझको वो ख़ून की क़शिश है
पर्दा पड़ा हुआ है जो दरमियाँ उठा ले
अपना है फिर भी …

चुप है ज़ुबान फिर भी अपना लहू पुकारे
तुम एक आसमाँ के टूटे हुए हो तारे
नज़रें तो मिल गई हैं अब दिल से दिल मिला ले
अपना है फिर भी …

apnā hai phir bhī apnā baṛhkar gale lagā le
achchhā hai yā burā hai apnā use banā le

mat soch tere dil meṅ ye kaisī kaśh-ma-kaśh hai
jo khīṅchtī hai tujhko vo khūn kī qaśhiśh hai
pardā paṛā huā hai jo darmiyāṇ uṭhā le
apnā hai phir bhī …

chup hai zubān phir bhī apnā lahū pukāre
tum ek āsmāṇ ke ṭūṭe hue ho tāre
nazreṅ to mil gaī haiṅ ab dil se dil milā le
apnā hai phir bhī …