अपना दिल पेश करूँ, अपनी वफ़ा पेश करूँ
अपना दिल पेश करूँ, अपनी वफ़ा पेश करूँ
कुछ समझ में नहीं आता तुझे क्या पेश करूँ
मेरे ख़्वाबों में भी तू, मेरे ख़यालों में भी तू
कौन सी चीज़ तुझे तुझसे जुदा पेश करूँ
जो तेरे दिल को लुभा ले, वो अदा मुझमें नहीं
क्यों न तुझको कोई तेरी ही अदा पेश करूँ
तेरे मिलने की ख़ुशी में कोई नग़मा छेड़ूँ
या तेरे दर्द-ए-जुदाई का ग़िला पेश करूँ
apnā dil peśh karūṇ, apnī vafā peśh karūṇ
kuchh samajh meṅ nahīṅ ātā tujhe kyā peśh karūṇ
mere khvāboṅ meṅ bhī tū, mere khayāloṅ meṅ bhī tū
kaun sī chīz tujhe tujhse judā peśh karūṇ
jo tere dil ko lubhā le, vo adā mujhmeṅ nahīṅ
kyoṅ na tujhko koī terī hī adā peśh karūṇ
tere milne kī khuśhī meṅ koī naġhmā chheṛūṇ
yā tere dard-e-judāī kā ġhilā peśh karūṇ