Angraaee bhee vo lene na paae

अन्ग्ड़ाई भी वो लेने न पाए
Year
Language

अन्ग्ड़ाई भी वो लेने न पाए उठा के हाथ
देखा मुझे तो छोड़ दिये मुस्करा के हाथ
अन्ग्ड़ाई भी वो लेने …

बातों में ऐसे हो गये मधहोश देखिये
अफ़साना ग़ैर का वो समझ कर सुना किये
आया जो मेरा नाम तो बस उठ के चल दिये
झुंझला के, तैश खा के, बिगड़ के, छुड़ा के हाथ
अन्ग्ड़ाई भी वो लेनए …

परदा था पर नक़ाब से कुछ हुस्न छिन पड़ा
बेकल हुए तो रह गया सब बाँकपन पड़ा
शिकवों का जब जवाब न कुछ उनसे बन पड़ा
गरदन में मेरी डाल दिये मुस्करा के हाथ
अन्ग्ड़ाई भी वो लेनए …

साक़ी को समझे, ये नहीं हर आदमी का काम
नक़्शब को किस अदा से इनायत किया था जाम
देना किसी का साग़र-ए-मय याद है निज़ाम
मुँह फेर कर उधर को, इधर को बढ़ा के हाथ
अन्ग्ड़ाई भी वो लेनए …

angṛāī bhī vo lene na pāe uṭhā ke hāth
dekhā mujhe to chhoṛ diye muskrā ke hāth
angṛāī bhī vo lene …

bātoṅ meṅ aise ho gaye madhhośh dekhiye
afsānā ġhair kā vo samajh kar sunā kiye
āyā jo merā nām to bas uṭh ke chal diye
jhuṅjhlā ke, taiśh khā ke, bigaṛ ke, chhuṛā ke hāth
angṛāī bhī vo lenae …

pardā thā par naqāb se kuchh husn chhin paṛā
bekal hue to rah gayā sab bāṇkapan paṛā
śhikvoṅ kā jab javāb na kuchh unse ban paṛā
gardan meṅ merī ḍāl diye muskrā ke hāth
angṛāī bhī vo lenae …

sāqī ko samjhe, ye nahīṅ har ādmī kā kām
naqśhab ko kis adā se ināyat kiyā thā jām
denā kisī kā sāġhar-e-may yād hai nizām
muṇh pher kar udhar ko, idhar ko baṛhā ke hāth
angṛāī bhī vo lenae …