Ambuaa kee daaree pe bole re koyliyaa

अम्बुआ की डारी पे बोले रे कोयलिया
Work
Year
Language

अम्बुआ की डारी पे बोले रे कोयलिया
प्रीत न करना अजी, प्रीत न करना जी
बोले रे कोयलिया …

सुलग सुलग मैं काली भयी
कोयला बनी ना राख
जल जल के मरना अजी, प्रीत न करना जी
बोले रे कोयलिया …

शहद के अन्दर ज़हर भरा है
पता नहीं वो किस ने किया है
आहें न भरना अजी, प्रीत न करना जी
बोले रे कोयलिया …

खुशबू से तुम मस्त न होना
काँटों को हाथों से न छूना
फूलों से डरना अजी, प्रीत न करना जी
बोले रे कोयलिया …

ambuā kī ḍārī pe bole re koyliyā
prīt na karnā ajī, prīt na karnā jī
bole re koyliyā …

sulag sulag maiṅ kālī bhayī
koylā banī nā rākh
jal jal ke marnā ajī, prīt na karnā jī
bole re koyliyā …

śhahad ke andar zahar bharā hai
patā nahīṅ vo kis ne kiyā hai
āheṅ na bharnā ajī, prīt na karnā jī
bole re koyliyā …

khuśhbū se tum mast na honā
kāṇṭoṅ ko hāthoṅ se na chhūnā
phūloṅ se ḍarnā ajī, prīt na karnā jī
bole re koyliyā …