Akhiyon ko asnaan karaake

अखियों को अस्नान कराके
Year
Language

अंखियों को अस्नान कराके, मैं दर्शन को आई -2
टूटे मन को, लेकर मन के, भेंट चढ़ाने आई
मैं दर्शन को आई …

साधु ने संयास लिया और अंग भभूत रमाई -2
धूल बनी राहों की मीर, चरणन बीच समाई
मैं दर्शन को आई …

ओ पगली के पगले प्रीतम कैसी प्रीत निभाई -2
सखियों का तो जी बहलाया हमरी हँसी उड़ाई
मैं दर्शन को आई …

सूना मन का नगर सजाया प्रीत की ज्योत जगाई -2
इस नगरी से दूर न जैयो ओ हमरे हरजाई
मैं दर्शन को आई …

aṅkhiyoṅ ko asnān karāke, maiṅ darśhan ko āī -2
ṭūṭe man ko, lekar man ke, bheṅṭ chaṛhāne āī
maiṅ darśhan ko āī …

sādhu ne saṅyās liyā aur aṅg bhabhūt ramāī -2
dhūl banī rāhoṅ kī mīr, charṇan bīch samāī
maiṅ darśhan ko āī …

o paglī ke pagle prītam kaisī prīt nibhāī -2
sakhiyoṅ kā to jī bahlāyā hamrī hṇsī uṛāī
maiṅ darśhan ko āī …

sūnā man kā nagar sajāyā prīt kī jyot jagāī -2
is nagrī se dūr na jaiyo o hamre harjāī
maiṅ darśhan ko āī …