Akelaa hoon main hamasafar dhoondhtaa hoon

अकेला हूँ मैं हमसफ़र ढूँढता हूँ
Work
Year
Language

(अकेला हूँ मैं हमसफ़र ढूँढता हूँ
मुहब्बत की मैं रहगुज़र ढूँढता हूँ) -2
किसी को मैं शाम-ओ-सहर ढूँढता हूँ
अकेला हूँ …

ये महकी हुई रात कितनी हसीं है -2
मगर मेरे पहलू में कोई नहीं है -2
मुहब्बत भरी इक नज़र ढूँढता हूँ
अकेला हूँ …

मेरे दिल में आजा, निगाहों में आजा -2
मुहब्बत की रंगीन राहों में आजा -2
तुझी को मैं ओ बेख़बर ढूँढता हूँ
अकेला हूँ …

किधर जाऊँ वीरान हैं मेरी राहें -2
किसी को न अपना सकी मेरी आहें -2
मैं आहों मे अपने असर ढूँढता हूँ
अकेला हूँ …

(akelā hūṇ maiṅ hamasafar ḍhūṇḍhtā hūṇ
muhabbat kī maiṅ rahguzar ḍhūṇḍhtā hūṇ) -2
kisī ko maiṅ śhām-o-sahar ḍhūṇḍhtā hūṇ
akelā hūṇ …

ye mahkī huī rāt kitnī hasīṅ hai -2
magar mere pahlū meṅ koī nahīṅ hai -2
muhabbat bharī ik nazar ḍhūṇḍhtā hūṇ
akelā hūṇ …

mere dil meṅ ājā, nigāhoṅ meṅ ājā -2
muhabbat kī raṅgīn rāhoṅ meṅ ājā -2
tujhī ko maiṅ o bekhbar ḍhūṇḍhtā hūṇ
akelā hūṇ …

kidhar jāūṇ vīrān haiṅ merī rāheṅ -2
kisī ko na apnā sakī merī āheṅ -2
maiṅ āhoṅ me apne asar ḍhūṇḍhtā hūṇ
akelā hūṇ …