Akelaa hoon main is duniyaa men

अकेला हूँ मैं इस दुनिया में
Year
Language

अकेला हूँ मैं इस दुनिया में
कोई साथी है तो मेरा साया

न तो परवाना और ना दीवाना, मैं किसी महफ़िल का
सुनी सुनी राहें थामती हैं बाहें, ग़म किसे मंज़िल का
मैं तो हूँ राही दिल का

जैसे कभी प्यारे, झील के किनारे, हंस अकेला निकले
वैसे ही देखो जी, ये मनमौजी, मौजों के सीनें पे चले
चाँद सितारों के तले

akelā hūṇ maiṅ is duniyā meṅ
koī sāthī hai to merā sāyā

na to parvānā aur nā dīvānā, maiṅ kisī mahafil kā
sunī sunī rāheṅ thāmtī haiṅ bāheṅ, ġham kise maṅzil kā
maiṅ to hūṇ rāhī dil kā

jaise kabhī pyāre, jhīl ke kināre, haṅs akelā nikle
vaise hī dekho jī, ye manmaujī, maujoṅ ke sīneṅ pe chale
chāṇd sitāroṅ ke tale