Akelaa gayaa thaa main ... mere sang-sang aayaa teree

अकेला गया था मैं ... मेरे संग-संग आया तेरी
Work
Year
Language

अकेला गया था मैं हाँ मैं न आया अकेला
मेरे संग-संग संग संग संग आया तेरी यादों का मेला -2
अकेला गया था …

( तेरी गली से ) -2 मैं जब निकला सब-कुछ देखा बदला-बदला -2
जैसा अब है ऐसा कब था ये मौसम अलबेला
मेरे संग-संग …

( जी करता है ) -2 वापस जाऊँ जाकर तुझको साथ ले आऊँ -2
मैं यादों के इस मेले में कैसे रहूँ अकेला
मेरे संग-संग …

akelā gayā thā maiṅ hāṇ maiṅ na āyā akelā
mere saṅg-saṅg saṅg saṅg saṅg āyā terī yādoṅ kā melā -2
akelā gayā thā …

( terī galī se ) -2 maiṅ jab niklā sab-kuchh dekhā badlā-badlā -2
jaisā ab hai aisā kab thā ye mausam albelā
mere saṅg-saṅg …

( jī kartā hai ) -2 vāpas jāūṇ jākar tujhko sāth le āūṇ -2
maiṅ yādoṅ ke is mele meṅ kaise rahūṇ akelā
mere saṅg-saṅg …