अजी हम दिल्ली के दादे हैं
मु: अजी हम दिल्ली के दादे हैं
म: दादे क्या परदादे हैं
दो: बुरों के हक़ में टेढ़े हैं भलों के हक़ में सादे हैं
हम दिल्ली के दादे हैं …
मु: शहर की चौड़ी सड़कों पर हम सीना तान के चलते हैं
म: धन-दौलत वाले भड़भूजे हमको देख के जलते हैं
दो: अजी उनके और इरादे हैं अपने और इरादे हैं
अरे हम दिल्ली के दादे हैं …
मु: जामा मस्ज़िद की सीढ़ी पर बैठ कर खिचड़ा खाते हैं
लाल क़िले के अगले-पिछले सब क़िस्से दोहराते हैं
दो: अजी यूँ लगता है जैसे हम लावारिस शहज़ादे हैं
अरे हम दिल्ली के दादे हैं …
मु: दो दिन अपना बैंड बजा कर गई हुक़ूमत गोरों की
म: लेकिन अब भी धौंस है बाकी चोर-मुनाफ़ाख़ोरों की
देखें कब तक पूरे हों जो सरकार के वादे हैं
दो: दिल्ली के दादे हैं …
mu: ajī ham dillī ke dāde haiṅ
ma: dāde kyā pardāde haiṅ
do: buroṅ ke haq meṅ ṭeṛhe haiṅ bhaloṅ ke haq meṅ sāde haiṅ
ham dillī ke dāde haiṅ …
mu: śhahar kī chauṛī saṛkoṅ par ham sīnā tān ke chalte haiṅ
ma: dhan-daulat vāle bhaṛbhūje hamko dekh ke jalte haiṅ
do: ajī unke aur irāde haiṅ apne aur irāde haiṅ
are ham dillī ke dāde haiṅ …
mu: jāmā maszid kī sīṛhī par baiṭh kar khichaṛā khāte haiṅ
lāl qile ke agle-pichhle sab qisse dohrāte haiṅ
do: ajī yūṇ lagtā hai jaise ham lāvāris śhahazāde haiṅ
are ham dillī ke dāde haiṅ …
mu: do din apnā baiṅḍ bajā kar gaī huqūmat goroṅ kī
ma: lekin ab bhī dhauṅs hai bākī chor-munāfākhoroṅ kī
dekheṅ kab tak pūre hoṅ jo sarkār ke vāde haiṅ
do: dillī ke dāde haiṅ …