Ajab toree duniyaa he more raamaa

अजब तोरी दुनिया हे मोरे रामा
Year
Language

अजब तोरी दुनिया हे मोरे रामा -2
क़दम-क़दम देखी भूल-भुलैयां
गज़ब तोरी दुनिया हो मोरे रामा -2

कोई कहे जग झूठा सपना पानी की बुलबुलिया -2
हर किताब में अलग-अलग है इस दुनिया का हुलिया
सच मानो या इसको झूठी मानो
बेढब तोरी दुनिया हो मोरे रामा

परबत काटे सागर पाटे महल बनाए हमने
पत्थर पे बगिया लहराई फूल खिलाए हमने
हो के हमारी हुई न हमारी
अलग तोरी दुनिया हो मोरे रामा

दया धरम सब-कुछ बिकता है लोग लगाएँ बोली
मुश्किल है हम जैसों की खाली है जिनकी झोली
जब तेरे बन्दों की जान बिके ना
है तब तोरी दुनिया हो मोरे रामा

अजब तोरी दुनिया …

ajab torī duniyā he more rāmā -2
qadam-qadam dekhī bhūl-bhulaiyāṅ
gazab torī duniyā ho more rāmā -2

koī kahe jag jhūṭhā sapnā pānī kī bulbuliyā -2
har kitāb meṅ alag-alag hai is duniyā kā huliyā
sach māno yā isko jhūṭhī māno
beḍhab torī duniyā ho more rāmā

parbat kāṭe sāgar pāṭe mahal banāe hamne
patthar pe bagiyā lahrāī phūl khilāe hamne
ho ke hamārī huī na hamārī
alag torī duniyā ho more rāmā

dayā dharam sab-kuchh biktā hai log lagāeṇ bolī
muśhkil hai ham jaisoṅ kī khālī hai jinkī jholī
jab tere bandoṅ kī jān bike nā
hai tab torī duniyā ho more rāmā

ajab torī duniyā …