Aisee cheez sunaaen ... jeenaa to hai usee kaa

ऐसी चीज़ सुनाएँ ... जीना तो है उसी का
Work
Year
Language

ऐसी चीज़ सुनाएँ कि महफ़िल दे ताली पे ताली
वरना अपना नाम नहीं बन्ने खाँ भोपाली
मुन्ने मियाँ बधाई बनो ख़ुश होनहार
दोनों जहाँ की ख़ुशियाँ हों आप पे निसार
बचपन हो ख़ुशगवार जवानी सदाबहार
अल्लाह करे ये दिन आए हज़ार बार

जीना तो है उसी का जिसने ये राज़ जाना
है काम आदमी का औरों के काम आना

किसी ने कहा तू है तारों का राजा
किसी ने दुआ दी किसी ने दी बधाई
सबकी आँखों का तू तारा बने
तेरी ही रोशनी में चमके तेरा घराना

दिल लगाकर तू पढ़ना हमेशा आगे बढ़ना
सच का दामन न छूटे चाहे ये दुनिया रूठे
काम तू अच्छा करना सिर्फ़ अल्लाह से डरना
सभी को गले लगा कर मोहब्बत में लुट जाना

मोहब्बत वो ख़ज़ाना है कभी जो कम नहीं होता
है जिसके पास दौलत उसे कुछ ग़म नहीं होता
तेरा-मेरा करके जो मरते उनको ये समझाना

सूरत पे माशा अल्लाह वो बात है अभी से
तड़पेंगे दिल हज़ारों गुज़रोगे जिस गली से
डोली में जब बिठाकर लाओगे फुलझड़ी को
ज़िन्दा रहे तो हम भी देखेंगे उस घड़ी को
अगर अल्लाह ने चाहा तो हम उस दिल भी आएँगे
बधाई हमने गाई है तो हम सेहरा भी गाएँगे
चाँद-सूरज भी आएँगे नीचे दूल्हा-दुल्हन के पीछे
है काम आदमी का …

aisī chīz sunāeṇ ki mahafil de tālī pe tālī
varnā apnā nām nahīṅ banne khāṇ bhopālī
munne miyāṇ badhāī bano khuśh honhār
donoṅ jahāṇ kī khuśhiyāṇ hoṅ āp pe nisār
bachapan ho khuśhagvār javānī sadābhār
allāh kare ye din āe hazār bār

jīnā to hai usī kā jisne ye rāz jānā
hai kām ādmī kā auroṅ ke kām ānā

kisī ne kahā tū hai tāroṅ kā rājā
kisī ne duā dī kisī ne dī badhāī
sabkī āṇkhoṅ kā tū tārā bane
terī hī rośhnī meṅ chamke terā gharānā

dil lagākar tū paṛhnā hameśhā āge baṛhnā
sach kā dāman na chhūṭe chāhe ye duniyā rūṭhe
kām tū achchhā karnā sirf allāh se ḍarnā
sabhī ko gale lagā kar mohabbat meṅ luṭ jānā

mohabbat vo khazānā hai kabhī jo kam nahīṅ hotā
hai jiske pās daulat use kuchh ġham nahīṅ hotā
terā-merā karke jo marte unko ye samjhānā

sūrat pe māśhā allāh vo bāt hai abhī se
taṛpeṅge dil hazāroṅ guzroge jis galī se
ḍolī meṅ jab biṭhākar lāoge phuljhaṛī ko
zindā rahe to ham bhī dekheṅge us ghaṛī ko
agar allāh ne chāhā to ham us dil bhī āeṇge
badhāī hamne gāī hai to ham sehrā bhī gāeṇge
chāṇd-sūraj bhī āeṇge nīche dūlhā-dulhan ke pīchhe
hai kām ādmī kā …