Ai sanam jisne tujhe chaand see soorat dee hai

ऐ सनम जिसने तुझे चाँद सी सूरत दी है
Work
Year
Language

ऐ सनम जिसने तुझे चाँद सी सूरत दी है
उस ही मालिक ने मुझे भी तो मोहब्बत दी है

फूल उठा ले तो कलाई में लचक आ जाये
तुझ हसीना को खुदा ने वो नज़ाकत दी है
मैं जिसे प्यार से छु लूँ, वो ही हो जाये मेरा
उस ही मालिक ने मुझे भी तो मोहब्बत दी है

मैं गुजरता ही गया तेरी हसीन राहों से
एक तेरे नाम ने क्या क्या मुझे हिम्मत दी है
मेरे दिल को भी ज़रा देख कहाँ तक हूँ मैं
उस ही मालिक ने मुझे भी तो मोहब्बत दी है

तू अगर चाहे तो दुनिया को नचा दे जालिम
चाल भी है तुझे मालिक ने कयामत दी है
मैं अगर चाहू तो पत्थर को बना दूँ पानी
उस ही मालिक ने मुझे भी तो मोहब्बत दी है

ai sanam jisne tujhe chāṇd sī sūrat dī hai
us hī mālik ne mujhe bhī to mohabbat dī hai

phūl uṭhā le to kalāī meṅ lachak ā jāye
tujh hasīnā ko khudā ne vo nazākat dī hai
maiṅ jise pyār se chhu lūṇ, vo hī ho jāye merā
us hī mālik ne mujhe bhī to mohabbat dī hai

maiṅ gujartā hī gayā terī hasīn rāhoṅ se
ek tere nām ne kyā kyā mujhe himmat dī hai
mere dil ko bhī zarā dekh kahāṇ tak hūṇ maiṅ
us hī mālik ne mujhe bhī to mohabbat dī hai

tū agar chāhe to duniyā ko nachā de jālim
chāl bhī hai tujhe mālik ne kayāmat dī hai
maiṅ agar chāhū to patthar ko banā dūṇ pānī
us hī mālik ne mujhe bhī to mohabbat dī hai