Ai meree zindgee ke sahaare ... aaj galiyon men teree

ऐ मेरी ज़िन्दगी के सहारे ... आज गलियों में तेरी
Year
Language

ऐ मेरी ज़िन्दगी के सहारे कहाँ है तू
मुझको भी अपने पास बुला ले जहाँ है तू

आज गलियों में तेरी आया है दीवाना तेरा -2
दिल में लेकर ग़म तेरा होंठों पे अफ़साना तेरा
आज गलियों में तेरी …

भीख दे दीदार की परदा उठा जलवा दिखा -2
माँगता है हुस्न की ख़ैरात मस्ताना तेरा -2
आज गलियों में तेरी …

तू ही दिल को हुस्न की चिंगारियों से फूँक दे -2
आग में ग़म की जला जाता है परवाना तेरा -2
आज गलियों में तेरी …

तेरी मर्जी है बना दे या मिटा दे तू मुझे -2
ज़िन्दगी तुझ पर है सदके दिल है नज़राना तेरा -2
आज गलियों में तेरी …

ai merī zindgī ke sahāre kahāṇ hai tū
mujhko bhī apne pās bulā le jahāṇ hai tū

āj galiyoṅ meṅ terī āyā hai dīvānā terā -2
dil meṅ lekar ġham terā hoṅṭhoṅ pe afsānā terā
āj galiyoṅ meṅ terī …

bhīkh de dīdār kī pardā uṭhā jalvā dikhā -2
māṇgtā hai husn kī khairāt mastānā terā -2
āj galiyoṅ meṅ terī …

tū hī dil ko husn kī chiṅgāriyoṅ se phūṇk de -2
āg meṅ ġham kī jalā jātā hai parvānā terā -2
āj galiyoṅ meṅ terī …

terī marjī hai banā de yā miṭā de tū mujhe -2
zindgī tujh par hai sadke dil hai nazrānā terā -2
āj galiyoṅ meṅ terī …