Ai meree topee palat ke aa ... na apne fantoosh ko sataa

ऐ मेरी टोपी पलट के आ ... न अपने फ़न्टूश को सता
Work
Year
Language

ऐ मेरी टोपी पलट के आ
न अपने फ़न्टूश को सता
ऐ मेरे दिलबर इधर नज़र कर
न जा बिछुड़ कर
न जा न जा
ऐ मेरी टोपी …

ऐ मेरी हमजोली तू भी ग़ैर की हो ली
तू भी दे गई घक्‌का
औरों के संग घूमें इठलाए और झूमें
देखूँ मैं भौचक्‌का
मेरी टोपी -3
ऐ मेरी टोपी …

बाँध के सर पे सेहरे चूमे गोरे चेहरे
और मुझे तरसाए
कारों पे चढ़ जाए होंठों तक बढ़ जाए
दिल पे तीर चलाए
मेरी टोपी -3
ऐ मेरी टोपी …

देखे जिसे अकेली उससे करे अठखेली
राह में रास रचाए
मोरा पेट बजाए गंजे सर को छुपाए
छेड़े और छुप जाए
मेरी टोपी -3
ऐ मेरी टोपी …

ai merī ṭopī palaṭ ke ā
na apne fanṭūśh ko satā
ai mere dilbar idhar nazar kar
na jā bichhuṛ kar
na jā na jā
ai merī ṭopī …

ai merī hamjolī tū bhī ġhair kī ho lī
tū bhī de gaī ghak‌kā
auroṅ ke saṅg ghūmeṅ iṭhlāe aur jhūmeṅ
dekhūṇ maiṅ bhauchak‌kā
merī ṭopī -3
ai merī ṭopī …

bāṇdh ke sar pe sehre chūme gore chehre
aur mujhe tarsāe
kāroṅ pe chaṛh jāe hoṅṭhoṅ tak baṛh jāe
dil pe tīr chalāe
merī ṭopī -3
ai merī ṭopī …

dekhe jise akelī usse kare aṭhkhelī
rāh meṅ rās rachāe
morā peṭ bajāe gaṅje sar ko chhupāe
chheṛe aur chhup jāe
merī ṭopī -3
ai merī ṭopī …