Ai meree jaan-e-vafaa maine dekhaa hai ye k‌yaa

ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा मैने देखा है ये क्‌या
Year
Language

ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा मैने देखा है ये क्‌या
ज़ुल्फ़ चेहरे पे गिरी चाँद बदली में छुपा
ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा …

चलने लगी क्‌यों हवा लहरा के झूम के
आई है शायद तेरी ज़ुल्फ़ों को चूम के -2
ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा …

घूँघट उठाया तेरा रंगीं बहार ने
तू वो कली है जो खिल जाए प्यार में
साहिल पे देखा तुझे लहरें जवाँ हुईं
और छू के दामन तेरा जाने कहाँ गईं -2
ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा …

तेरे ही दम से तो आज की रात हसीं
मस्ती में डूबी फ़िज़ा लो चली दूर कहीं
गुमसुम सी बैठी है किस हाल में
उलझा दिया है तुझे किस ख़्याल ने -2
ऐ मेरी जान-ए-वफ़ा …

ai merī jān-e-vafā maine dekhā hai ye k‌yā
zulf chehre pe girī chāṇd badlī meṅ chhupā
ai merī jān-e-vafā …

chalne lagī k‌yoṅ havā lahrā ke jhūm ke
āī hai śhāyad terī zulfoṅ ko chūm ke -2
ai merī jān-e-vafā …

ghūṇghaṭ uṭhāyā terā raṅgīṅ bahār ne
tū vo kalī hai jo khil jāe pyār meṅ
sāhil pe dekhā tujhe lahreṅ javāṇ huīṅ
aur chhū ke dāman terā jāne kahāṇ gaīṅ -2
ai merī jān-e-vafā …

tere hī dam se to āj kī rāt hasīṅ
mastī meṅ ḍūbī fizā lo chalī dūr kahīṅ
gumsum sī baiṭhī hai kis hāl meṅ
uljhā diyā hai tujhe kis khyāl ne -2
ai merī jān-e-vafā …