ऐ मेरे दिल मत कर किसी पे ऐतबार्
ऐ मेरे दिल मत कर किसी पे ऐतबार
हर क़दम पर हैं धोखे हज़ार
अलबेले आज़ाद परिंदे मस्ती में तू गाता चल
पी ले खा ले प्यार का दाना झूम-झूम लहराता चल
ऐ मेरे दिल मत …
निर्धन की कोई बात न पूछे दौलत के सब बन्दे हैं
मनमानी करते हैं ज़ालिम आँखें रख कर अँधे हैं
ऐ मेरे दिल मत …
परछाईं को किसने पकड़ा काम भला कब आई है
इससे प्यार की आस न रख तू दुनिया ख़ुद परछाईं है
ऐ मेरे दिल मत …
ai mere dil mat kar kisī pe aitbār
har qadam par haiṅ dhokhe hazār
albele āzād pariṅde mastī meṅ tū gātā chal
pī le khā le pyār kā dānā jhūm-jhūm lahrātā chal
ai mere dil mat …
nirdhan kī koī bāt na pūchhe daulat ke sab bande haiṅ
manmānī karte haiṅ zālim āṇkheṅ rakh kar aṇdhe haiṅ
ai mere dil mat …
parchhāīṅ ko kisne pakaṛā kām bhalā kab āī hai
isse pyār kī ās na rakh tū duniyā khud parchhāīṅ hai
ai mere dil mat …