Ai mere dil-e-naadaan, too gham se na ghabraanaa

ऐ मेरे दिल-ए-नादां, तू ग़म से न घबराना
Year
Language

ऐ मेरे दिल-ए-नादां
तू ग़म से न घबराना
एक दिन तो समझ लेगी
दुनिया तेरा अफ़साना
ऐ मेरे दिल-ए-नादां…

अरमान भरे दिल में
ज़ख्मों को जगह दे दे
भड़के हुए शोलों को
कुछ और हवा दे दे
बनती है तो बन जाए
ये ज़िन्दगी अफ़साना
ऐ मेरे दिल-ए-नादां…

फ़रियाद से क्‌या हासिल
रोने से नतीजा क्‌या
बेकार हैं ये बातें
इन बातों से होगा क्‌या
अपना भी घडी भर में
बन जाता है बेगाना
ऐ मेरे दिल-ए-नादां…

ai mere dil-e-nādāṅ
tū ġham se na ghabrānā
ek din to samajh legī
duniyā terā afsānā
ai mere dil-e-nādāṅ…

armān bhare dil meṅ
zakhmoṅ ko jagah de de
bhaṛke hue śholoṅ ko
kuchh aur havā de de
bantī hai to ban jāe
ye zindgī afsānā
ai mere dil-e-nādāṅ…

fariyād se k‌yā hāsil
rone se natījā k‌yā
bekār haiṅ ye bāteṅ
in bātoṅ se hogā k‌yā
apnā bhī ghaḍī bhar meṅ
ban jātā hai begānā
ai mere dil-e-nādāṅ…