Ai dil na mujhse chhupaa, sach bataa, k‌yaa huaa

ऐ दिल न मुझसे छुपा, सच बता, क्‌या हुआ
Work
Year
Language

ल: ऐ दिल न मुझसे छुपा
सच बता, क्‌या हुआ
मु: जाने भी दो दिलरुबा
जो हुआ, सो हुआ

ल: तारे गिने रात भर
जाने कब याद में सो गई
वो ख़ाब था मदभरा
जिस में बेहोश मैं खो गई
कोई नींद में, हमसे रूठ के
हमको लूट के चल दिया
मु: जाने भी दो दिलरुबा
जो हुआ, सो हुआ

मु: खिड़की न छोड़ो खुली
प्यार के चोर हैं ताक में
कितनों की चोरी हुई
मदभरी चाँदनी रात में
ऐसे मर्ज़ की, दिल के दर्द की
दिल का दर्द ही है दवा
ल: ऐ दिल न मुझसे छुपा
सच बता, क्‌या हुआ

ल: बातें बनाओ न जी
राज़ तो आपके खुल गए
मु: आँखें चुराओ न जी
नैन से नैन तो मिल गए
ल: क्‌या बुरा हुआ, दिल मचल गया
घर बदल गया आपका
मु: जाने भी दो दिलरुबा
जो हुआ, सो हुआ

la: ai dil na mujhse chhupā
sach batā, k‌yā huā
mu: jāne bhī do dilrubā
jo huā, so huā

la: tāre gine rāt bhar
jāne kab yād meṅ so gaī
vo khāb thā madabhrā
jis meṅ behośh maiṅ kho gaī
koī nīṅd meṅ, hamse rūṭh ke
hamko lūṭ ke chal diyā
mu: jāne bhī do dilrubā
jo huā, so huā

mu: khiṛkī na chhoṛo khulī
pyār ke chor haiṅ tāk meṅ
kitnoṅ kī chorī huī
madabhrī chāṇdnī rāt meṅ
aise marz kī, dil ke dard kī
dil kā dard hī hai davā
la: ai dil na mujhse chhupā
sach batā, k‌yā huā

la: bāteṅ banāo na jī
rāz to āpke khul gae
mu: āṇkheṅ churāo na jī
nain se nain to mil gae
la: k‌yā burā huā, dil machal gayā
ghar badal gayā āpkā
mu: jāne bhī do dilrubā
jo huā, so huā