Ai dil meree aahon men itnaa to asar aae

ऐ दिल मेरी आहों में इतना तो असर आए
Work
Year
Language


ऐ दिल मेरी आहों में -2
इतना तो असर आए
जब आँख खुले उनकी तस्वीर नज़र आए
ऐ दिल मेरी आहों में …

बेकार मोहब्बत है जब तक के मोहब्बत में -3
अरमान न हों पूरे उम्मीद न बर जाए
जब आँख खुले …

जिस वक़्त मेरी उनकी नज़रों से मिलें नज़रें -3
कोई न इधर देखे कोई न इधर आए
जब आँख खुले …

पूछो तो मोहब्बत की मंज़िल से गुज़रना है -3
सोचो तो मोहब्बत की मंज़िल से गुज़र आए
जब आँख खुले …

तूफ़ान से बचने की उम्मीद ना थी लेकिन -3
आ ही गए साहिल पर गो लाख भँवर आए
जब आँख खुले …

ā
ai dil merī āhoṅ meṅ -2
itnā to asar āe
jab āṇkh khule unkī tasvīr nazar āe
ai dil merī āhoṅ meṅ …

bekār mohabbat hai jab tak ke mohabbat meṅ -3
armān na hoṅ pūre ummīd na bar jāe
jab āṇkh khule …

jis vaqt merī unkī nazroṅ se mileṅ nazreṅ -3
koī na idhar dekhe koī na idhar āe
jab āṇkh khule …

pūchho to mohabbat kī maṅzil se guzarnā hai -3
socho to mohabbat kī maṅzil se guzar āe
jab āṇkh khule …

tūfān se bachne kī ummīd nā thī lekin -3
ā hī gae sāhil par go lākh bhṇvar āe
jab āṇkh khule …