Ai dil-e-beqraar jhoom

ऐ दिल-ए-बेक़रार झूम्
Work
Year
Language

ऐ दिल-ए-बेक़रार झूम, ऐ दिल-ए-बेक़रार झूम - 2

अब्र-ए-बहार आ गया, दूर-ए-खिज़ा चला गया - 2
इश्क़ मुराद पा गया, हुस्न की मच रही है झूम (ऐ दिले …)

छिटकी हुई है चांदनी, मस्ती में है कली कली - 2
झूम रही है ज़िन्दगी, तू भी हज़ार बार झूम (ऐ दिले …)

तारे हैं माहताब है, हुस्न है और शबाब है - 2
ज़िन्दगी कामयाब है, आरज़ूओं का है हज़ूम (ऐ दिले …)

तेरा नशा तेरा खुमार, अब है बहार है बहार - 2
पीके खुशी में बार बार, पीर-ए-जवां के हाथ चूम (ऐ दिले …)

ai dil-e-beqrār jhūm, ai dil-e-beqrār jhūm - 2

abr-e-bahār ā gayā, dūr-e-khizā chalā gayā - 2
iśhq murād pā gayā, husn kī mach rahī hai jhūm (ai dile …)

chhiṭkī huī hai chāṅdnī, mastī meṅ hai kalī kalī - 2
jhūm rahī hai zindgī, tū bhī hazār bār jhūm (ai dile …)

tāre haiṅ māhtāb hai, husn hai aur śhabāb hai - 2
zindgī kāmyāb hai, ārazūoṅ kā hai hazūm (ai dile …)

terā naśhā terā khumār, ab hai bahār hai bahār - 2
pīke khuśhī meṅ bār bār, pīr-e-javāṅ ke hāth chūm (ai dile …)