Ai dil ai deevaane

ऐ दिल ऐ दीवाने
Work
Year
Language

ऐ दिल ऐ दीवाने -3
आग लगा ली क्‌यों दामन में
ओ ज़ालिम चाहत के बहाने
ऐ दिल ऐ दीवाने …

जुर्म नहीं था दिल का लगाना
समझा कब नदान ज़माना
एक नज़र और कितनी बातें
एक खामोशी लाख फ़साने
ऐ दिल ऐ दीवाने …

ये तो नहीं है तेरी मंज़िल
दूर बहुत है अपना साहिल
अरमानों की नाज़ुक कश्ती
लगी है तूफ़ां से टकराने
ऐ दिल ऐ दीवाने …

ai dil ai dīvāne -3
āg lagā lī k‌yoṅ dāman meṅ
o zālim chāhat ke bahāne
ai dil ai dīvāne …

jurm nahīṅ thā dil kā lagānā
samjhā kab nadān zamānā
ek nazar aur kitnī bāteṅ
ek khāmośhī lākh fasāne
ai dil ai dīvāne …

ye to nahīṅ hai terī maṅzil
dūr bahut hai apnā sāhil
armānoṅ kī nāzuk kaśhtī
lagī hai tūfāṅ se ṭakrāne
ai dil ai dīvāne …